Thursday, March 21, 2013

Nasha; Chahat....etc.

1) Unse pyar ka deedar kuch yu kiya hamne; 
Tum khubsurat ho; or usse jayada tumhara muskana hai...
Tere chehre ki jhalak sab pana chahe or teri muskan pe marta ye jamana hai...

wo jalim bhi itrate ghum rahe hamare ijhar-e-husn ko sunkar; shyad nhi malum unko ke raste me ghar ke unke padta ek maykhana hai.....

2) Us sharab ko dekh ke mere dile me yahi khayal aata hai ke......
khushnaseeb hai wo (sharab) itna to; uske mukkadar ko main kyu ilzam du.
chahat mein dube hain jab sab uske to main kyu use BAD-NAAM du.
kar dete honge neelam apni jindgi ki har sham ko uski tanhai ke nam sab;
roj badle aashiq; aise bewafa ko main kyu apni ye mastani sham du.....


3) Aadat nhi gamo ki dhoop me hame khud ko jalane ki;
hame to aadat hai sukh ki chandni me nahane ki..
maaikhane me jane wala har saqs piyakkad nhi hota;
ham to sirf chookar hi gahrai naap lete hain paimane ki....


4) Khud ko mitane ko ham tayar baithe the...
dil me liye pyar beshumar baithe the...
par wo to chalna chahte the sunahri sadko pe....
or ham the ki karke unka hi ikhtiyar baithe the..


5) Hue khushnaseeb to tumhe jaroor payenge ham... 
      (this line copied from Krutika bhavishi)
Hue badnaseeb to bhi tera sath har pal nibhayenge ham..
Hamne ek dil tere seene me rakh chhoda hai; bus uska khyal rakhna...
Or tut bhi jaye to dukhi na hona; 
Dil nhi to khusbu ban ke teri sanso me bas jayenge hum....
   

                                                              - कपिल कुमार गुप्ता 'दीवाना' 

2 comments:

  1. Dhinkchak...Faddoo....as usual :P

    ReplyDelete
  2. kya baat hai kapilaji.....bahutahi badhiya... par achanak hai bhavanaoko samunder kyu bahane laga...kuchh hua kya? batao to.....

    ReplyDelete