Thursday, May 23, 2013

Dilnashi

Dilnashi, jab se tu hai dil me Basi,
Basi hai mere hotho pe ye Hansi.

Hansi dekhkar meri ab jalne laga hai ye Jamana,
Jamana jalta rahe; aashiqo ka to kam hi hai ishq Farmana.

Frmana ishaq yu hame lekin pad gaya Bhari,
Bhari tha ek ek pal jab pol khuli thi ghar me Hamari.

Hamari tham gayi thi nabz or juban pe lag gaya tha Tala,
Tala khulta usse pahle apne bapu sang ghar aa gayi meri Madhubala.

Madhubala se jaise hi meri aankhe hui char,
char dishaye mahak uthi yun dekh hamara Pyar.

Pyar ki arzi paas ho gayi maan gaye sab khushi khushi,
khushi khushi yu mujhe mil gayi jaan-e-muhabbat meri Dilnashi.

                                                                           - कपिल कुमार गुप्ता 'दीवाना' (मई २३, २०१३)

No comments:

Post a Comment