Wednesday, November 2, 2011

yahi chah h is deewane ki....

yahi chah h is deewane ki....

na chah koi chand or sitaro ki.....
na hi fiat or ferrari jaisi caro ki....
jo hamesha chale sath sath ...
chah h to aise sacche yarane ki....

yahi chah h is deewane ki....


na chah koi bada aalishan ghar banane ki,
na chah 10 by 15 ke bathrum me nahane ki,
jaha kuch pal chain ke so saku,
cha h ek aise sundar aashiyane ki......

yahi chah h is deewane ki....


na chah ke banu koi bada officer,
or chale sabhi mere aage sar jhukakar,
yaad karti rhe saari duniya hmesha,
chah h to kuch aisa kam kar jane ki....


yahi chah h is deewane ki....

chahe aaye jeevan me koi bhi vipda,
har tufaan me chattan ki tarah rhu khada,
chahe dukho ke kitne hi teer chale mujh par
kabhi na chhute ye aadat muskurane ki...


yahi chah h is deewane ki...

yahi chah h is deewane ki....

                                                       - कपिल कुमार गुप्ता 'दीवाना' 

2 comments:

  1. Chaahne se kuch nahi hota dost,
    Kuch kar dikhana padta hai,

    warna duniya me to kami nahi hai,
    Aise nahi chahne wale bekaro ki.

    ReplyDelete
  2. yes kavita atayant ki manoram aur aaj k yug me prabhavshali hai. main is kavita evam is blog ka dvitiye tippanikar ban kar kafi gauranvanvit mahsus kar raha hun. yeh kavita aaj k yuvaon ke vasatavik naitik uttahan ke liye ek mahtvapurn kadi sabit hog. main kavi shri kapil kumar gupta ji ko is blog ki safalta ki subhkamnayae deta hun..
    ashu

    ReplyDelete